Sunday, 14 April 2013
One warm afternoon when it was freezing outside ....
Khidki ke sheeshon par barf ke phool jam rahe hain
Piili si lamp ki roshni gungunahat bikher rahi hain
chai ki woh garam pyali tand haathon ko senk rahi hain
chanchal so muskurahatein aankhon se takra rahi hain
zubaan se jyada woh chamakthi aankhein baatein suna rahi hain
woh pyaari si shor gaalon mein bhanwar bana jaati hain ...
Few
years back somebody gifted me this glass jar, right from day one I
loved it... recently it broke.... so felt like writing something for
this jar whom I loved so much and which helped me in kitchen all these
years... In college I studied John Keat's 'Ode to Urn ' ... I loved that
poem.. so felt like writing something in similar way for my sweet
jar...:)
Sabki ek kahani hoti hai, meri bhi hai...
kisi kalakaar ke haathon meine apna roop paya..
kisi ki pyar bahri nainon ne mujhe pehchana..
aur uske aashiyaan pahunchi..
kisi haathon ne pyar se sambhala tha mujhe
kisi ke nanhe se chehre pe muskuranatein aayi mujhe dekh kar..
zindagi guzar gayi, waqt udd gaya..
ek din mein toot gayi, bikhar gayi...
phir kisi ne pyar se mujhe naya roop diya..
aur mein phir se khilne lagi, muskurane lagi...
ek baar phir roshan hui, zindagi phir gungunane lagi..

Subscribe to:
Posts (Atom)